MISSION ADVAIT NIJANAND
SUNDARSATH KA JAWAB
(SHREE RAJAN SWAMI DVARA SHREE SUNDARSATH SE PUCHE GAE PRASHNO KA JAWAB)
shree Aksharatit kitne he ek do teen char ya das ?
baba sunil dhamiji ka jawab.……
sahur pehle prashna ka - shree tartam wani furmati he -
PAAR PURUSH PIYA EK HE, DUJA NAHI KOY ||
shree aksharatit hi parbrahma parmatma he geeta me aapko uttam purush kaha he jo parmatma kahe gae hamare dhamdhani shree aksharatit ko hi vedo ne neti neti kaha yaha tak ki shree aksharbrahma bhi dhaniji ke mohal shree rangmahal ko hi nahi Jante iski chopai -
SHREE AKSHARATIT KE MOHAL ME, PREM ISHAK BARTAT |
SO SUDH AKSHAR KO NAHI, KIN BIDH KEL KARAT ||
jin shree aksharatit ki leela ko shree aksharbrahma nahi jante unhe hamare jaise sadharan jeev kaise jaan sakte he isliye yah prashna karna uchit pratit hota he. Vaise dekha jae to sansaar janta he ki purnbrahma parmatma shree aksharatit ek hi he "DHANI SABO KA EK" Lekin unhe tartam nahi mila ya is sansaar ki buddhi ek parmatma ko anek bana deti he isiliye vah shree aksharatit ko ek nahi das mante he, unhe pahchan nahi he. Hamare Rajji ko hi sab pujte he. Lekin sansaar me kitne mat dharma ban gae ab sabke apne apne parmatma he to bas……
जुदे जुदे नामें गावहीं, जुदे जुदे भेष अनेंक ।
To kya yah bechare shishya akhand vahedat ka sukh chhodkar ese hi dvait raah me chalkar apne jage bhagyo par grahan lagakar satya dharma nijanand se door us raah per n chal kar apni agyanta ka parichay nahi de rahe he ? Parmatma ke naam per bheg karke aapas me dvaish - Raag failao yah brahmagyan he ? kaise samjaoge apne shishyo ko ? tartam to unhe bhi mila he, Lekin yah brahma momino sundarsath ki raah nahi. Kya aap piyaji ke leelarupo ko kamtar bata kar dhaniji ki meher ko prapt kar loge ? Vah nahi jante "parmatma vivado ke pare he" Vivad tumhara apna he isme nijanand kaha ? Ya paramtatva kaha ?
SHREE PRANNATHJI AUR SHREE KRISHNAJI brahmanishtha Sundarsathji ke lie ek he kintu aap ki parmatma se nisbat kya he ? Bicharlo ! Parmatma me bhed vyaktivadi he parmatma me nahi, ise is prakar samjo "aap shree prannathji ko bachane aur hum shree krishna ko paramdham me baithane maidan me aa gae" Esa kis gyan ke aadhar per kar rahe he Bachane wala bada hota he aur is sansaar me aksar log parmatma ko bachane ka dambh bharte najar aate he mujse mahan gyani ne kaha tha mai to shree prannathji ko bachane ke liye ladta rahunga, me tatkaal unke shree charno me lag gaya. Abhi bhi hume parbrahma parmatma ki pahchan nahi, maharajji nind yahi he. Tab kya is gyan se hume paramdham mil payega ? Shree rajji hum per daya kare.
Prashna 2 - yadi aap shree krishna ko shree aksharatit Mante ho to shree prannathji ko kya mante ho ?
jawab baba sunil dhamiji ka
sahur - Is prashna se gyat hot he ki SHREE KRISHNAJI or SHREE PRANNATHJI ko do mana ja raha he, nischit taur par paraprem lakshna bhakti ke anusaar shree prannath paarbrahma parmatma shree aksharatit he. Jaha humne parmatma se apni nisbat ki pahchan ki he, parmatma svayam siddh hai. Yah satya gyan he. Aur ruhe parmatma ke alava kuchh satya manti nahi.
HAK BAGAIR KACHU N RAKHE E ARSA ARVAAH ILAM ||
is prakar shree tartam gyan ki roshnai me yah prashna kaise samje. Kyonki shree krishnaji aksharatit he.
तो ए वचन तुमको कहे जाए, जो तुम धाम की लीला मांहे ।
ब्रज बालो पिऊ सो एह वचन आपन को कहत हैं जेह ।।
रास मिनें खेलाए जिनें, प्रगट लीला करी हैं तिनें ।
धनीधाम के कहलाए, ए जो साथ को बुलावन आए ।। प्र हि 29/61-62
isme prashna karta ne satya ko svikar kiya he arthat braj, raas ko inhone mana he. Yah brahma leela he, isme khelne wale shree krishnaji hamare dhani he. Jinhone braj raas me leela ki thi vahi svarup jagni brahmand me vahi shree prannath he.
श्री कृष्ण ब्रज रास में, पूरे ब्रह्मसृष्टि मन काम ।
सोई स्वरूप लाया फुरमान, रसूल कहलाया स्याम ।।
At: Braj raas leela shree paarbrahma parmatma ka leela ras he, yah shree bitak saheb kahti he ab yah hamare ya kisi aur ke manne ya na manne se asatya to ho Ho nahi jaega.
ha aaj esa gyan jo sansari dvait wadi gyan kaha jata he. Jiska prachalan (kuchh guru aur unke shishyo) ke bich chal raha he. Jo tartam vachno aur ved kateb ki gavahiyo ko bhi ansuna kar dete he. Unhe yah bhram he ki vah parmatma ki raksha kar rahe he, sundarsathji ve bhul gae hum maya dekhne aae he ise sansari jeevo ka gyan kahte he.
vah bechare parmatma ko bachane ki jidd me ese ghor andhakar me chale jate he. Jaha se bachna mushkil ho jata he. Jisme parmatma ki prapti ho kya aapke paas esi advait ki lathi he ? At: Esa gyan jo.sundarsath ko bante bada julm he dhaniji ne svayam kaha he -
|| JIN KOI JHAGDO AAPME, DHANI SABO KA EK ||
yah wani bhasano me achi lagti hen lekin jo sundarsath honge wohi in vachno per nichhaver honge kintu satya kya he kya dvait vadi is raah me chalte he ??? Bish - bel dino - Den badti ja rahi he. Ha is satyata se hum bach nahi sakte. Koi agar sambhuti upasana kar raha he to hum bhi usi raah me chalkar apne bhole bhale shisyo ka durbhagya to nahi kar sakte ? Ve wani ka prasar nahi karte, vah shree prannath ko jahir nahi karte, ve mul mantra badal rahe he, yah dvait vaad ke kuchh ese jumle he jo sirf aur sirf hame bhramit kar rahe he. Yah vichar dvait ka vistaar kar rahe he. Yahi dvaitvaadi gyan he ek pax dusare pax per purnbrahma parmatma aur unke bachno ke jaheri arth lekar "dvait ke maha singaar" Ka darshan apne bhole bhale masum shisyo ko kara rahe he, yah bechare satya se door ghor andhkar ke maha sunya me leen ho jane vale he satya to he "PREM BRAHMA DAU EK HE" Aur aap inhe nafrat bata rahe ho tum pranami hum nijanandi kya yah bhed nafrat nahi ? Aap bade gyani ho apne shisyo ki is shanka ka nibaran kardo aap inhe kaunsa bahedati ishq sikha rahe ho ? Esa kahi nahi likha gruh yuddha karne valo ko khandta ya sukh - shanti milegi. Shree wani kahti he -
जिन कोई झगड़ो आप में, धनी सबों का एक ।।
_____________________________________________________
Que 3: sandhya ke samay ki jane wali aarti "kanchan thaal chahu mukh divala" ksike lie he shree krishnaji ya shree prannathji ke liye ???
sahur - shree banglaji darbar me baiju raj maharani ji ne apne pran priytam shree prannathji ki aarti ki thi. aur ise pura pranami jagat janta he. jise aaj bhi sundarsath apane pran priytam ki yah aarti purn aatam bhav se karte aa rahe he.
pyare sundarsathji is prasang se yaad aaya kuchh aalochak gyani kahte he. bhog laganamandiro me ghanti ghadiyal bajana aur jaise shree baiju raj maharaniji ne apne pran priytam shree prannathji ki aarti ki esi aarti karna karmakand he. aur unhone apne aashramo me sevapuja bhi nahi karte apne shishyo ko yahi shiksha dete he. sharir dhari aatma se door he aur jiski aatma jaag gai use char diwari me aankh band karne ki aavashyakta kya vah to -
KHATE PITE UTHATE BAITHATE, SOBAT SUPAN JAGRAT |
DAM NA CHHODE MAASUK KI, JAKI ASAL HAK NISBAT ||
AB AAP ASHTA PRAHAR DIN CHAUSATH GHADI APNI AANKHO KO BAND (DHYAN) KARE RAHIYE..... AUR JAISE HI AANKH KHULTI HE HUM CHIKHANE LAGTE, SUNDARSATHJI PARAMADHAM ME YAH NAHI YAH BHI NAHI, AAJAO SHASTRARTH KARLO HA...HA....HA.... BHAIYA YAH HAI HANSI KA THAUR. NIND ME KYA DHYAN KARLOGE JAGRAT ME SAB YAAD RAHTA HE. DHYAN RAHE RAJJUBABA SE JISNE PREM KIYA AUR VAHI PREM BATA DIYA VAHI PREMI HE. AUR PARMATMA KO PREM KARNE WALE PYARE SUNDARSATH KO DO YA ANEK PARMATMA KE DARSHAN KARA DIE TO NISHCHIT HE HUM AGYNI AUR SATYA DHAMRA NIJANAND SE DOOR HE. ISILIYE SHREE SUNDARSATHJI KI JAI BOLO UNKI CHARANRAJ KHOJO. BOLO SHREE DHAMDHANI KI JAI.......
----------------------------------------------------------------------------------------------
QUE 4: "KOI DUJA MARAD NA KAHAVAHI, EK MEHNDI PAAK PURAN" KE IS KATHAN KE ANUSAAR AP KISKO SHREE AKSHARATIT MANTE HE ? AAPKO BRAHMAWANI KE IS KATHAN PER VISHWAS HE YA PARAMPARA PER ?
SAHUR : "KOI DUJA MARAD NA KAHAVAHI, EK MEHNDI PAAK PURAN" sanandh 42/16. prashnakarta prashna karte he is chopai ke anusaar shree aksharatit kise mante ho ?
sahur: main janta chahta hu kya sat leela sampurn he ? kya anand leela apurn he ? kyonki sat bhi aksharatit he anand bhi shree aksharatit ka ang he chitadhan svayam shree aksharatit he is leela me dhaniji ne sachchidanand svarup ko jahir kar diya.
"SO TO AB JAHIR BHAYE, SAB VIDH VATAN SAHIT"
dhaniji ki purnata ka ang hi brahma srushti he jinhe piyaji angna kaha jata he iske vyapak mayne he. braj me sat svarup shree aksharbrahma ki aatma thi.
"DO BHUJA SVARUP JO SYAM, AATAM AKSHAR JOSH DHANI DHAM"
shree madbhagvat puran me sachchidanand rupay arthat rup shree krishna ko kaha he aur kurane paak ke anusaar ruhalaah shree shyama maharaniji ki teen surate basari, malki aur haki svarup he, basari surat shre mahammad saheb, malki surat dhani shree devchandraji maharaj, aur haki surat svayam shree rajji maharaj shree prannathji he.
ab sachchidananad rup se sat (basari surat) rup shree shyam hi shree mohammad saheb he chopai -
"RAAS LEELA KHEL KE, AAE BARARAB SYAM"
anand rup (malaki surat) shree shyamaji avataar shree sundar bai shree devchandraji he choapi -
"SHREE SUNDARBAI SHREE SHYAMAJI AVATAAR"
aur haki surat ya chit svarup shree indravati ji he yatha -
"CHITDHAN SVARUP SHREE INDRAVATI"
"SAKSHAT SVARUP SHREE INDRAVATI, TARTAM KO AVATAAR"
aur tartam piya ji ke chit ka prakash he at: shree indravati sakhi ko hi piyaji ne apna ang kaha, apna naam aur shobha di chopai -
"NAAM SINGAAR SHOBHA SARI, MAIN BHEKH TUMARO LIYO | KI. 62/15
SHREE INDRAVATI KE ANGE SANGE, SHREE INDRAVATI MARO ANG |
JO ANG SAUPE SHREE INDRAVATI KO, TAE PREME RAMADU ABHANG ||
aap svayam shree rajji maharaj svarup he, shree aksharbrahma ne shree aksharatit ke mahal me prem, ishq ki leela dekhne ki jo chahna ki vah shree 5 padmavatipuri dham parna me jahir hui. yaha chitdhan svarup aap piyaji biraje he aur jinse tartamya dhami sundarsath ne joda he kaise ? ise shree madbhagvat batati he.
यं संपध जहा्त्ययजामनुशयी सुप्त: कुलायं यथा |
तं कैवल्यंनिरस्तयोनिमभयं ध्यायेदजस्त्रं हरिम || भ. अ. ८८-५०
jaise gaad nidra - sushupti me magna purush apne sharir ka anusandhan chhod deta he vaise hi parmatma ko pakar vah jeev maya se mukt ho jata he. vaise hi parmatma ese vishudh, keval chinmatra tatva he usme jagat ke karan maya athava prakruti ka ratti bhar bhi astitva nahi he, ve hi vastav me abhay sthan he vastav me inka chintan nirantan karte rahna chahiye.
No comments:
Post a Comment