jin sudh seva ki nahi, na kachu sajhe baat l
so kaahe ko ginave aap sathme, jin sudh na supan sakhyat ll
arthaat: jin logo ko dhaniji ki pahchan evam sevaki sudhi nahi hai, ve gudh rahasyo ko nahi samaj sakte, ese log svayam ko sundarsath me kyo ginate he, jinhe na svapna sansaar ki sudhi he aur na hi sakshat dhamdhani ki pahchan he.
kamar bandhe dekha dekhi, jane ham bhi lage tin laar l
le kabila kandh par, hanste chale nar naar ll
arthat: ese log dusaro ki dekha dekhi kamar bandh kar taiyar hote he aur maan lete he ki ham bhi brahmsrushti ke marg par chal rahe he. apne kutumb parivar ka bhar kandhe me uthakar sansaarik sukho ko bhogate hue ese nar - nari bhi hanste hue chal rahe he.
e lok raah na pavahi, kyoe na sune pukar l
e chale chinti haar jyo, bandhe unt kataar ll
arthat: ese log satya ka marg grahan nahi kar sakte kyonki ve satya updesh sunate hi nahi. ve to matra chintiyo athava unto ki panktivat ek dusare se bandhe hue chalte he.
in loko ki me kya kahu, jo jae pade sukh kaal l
jo sath kehelae samil bhae, so bhi kahu nek haal ll
arthat: in logo ki baat me kya karu jo jaanbujkar kaal ke mukh me pad rahe he. parantu jo log svayam ko sundarsath kahala kar sundarsath ke samuh me sammilit hue he. me unki dasha ka bhi thada sa varnan karta hu.
dudh to dekhya nahi, dekhya uper ka fen l
daud kare pade khench me, e yo lage dukh den ll
arthat: jinhone dudh ko dekha hi nahi matra uper ke fen ko hi dekha he arthat jo vastavik rahasya ko samje bina matra bahya aadambar se hi bhramit ho rahe he aur parasparik khinchatan (vaad - vivad) me ho pade he, ve is prakar apne vyavhar se muje dukhi kar rahe he.
na pehechan prakrut ki, na pehchan hukam l
na sudh thaur nehechal ki, na sudh sarup brahm ll
arthat: maya me magna rahne wale logo ki akshar ki ichah shaktirupi prakruti tatha purnbrahm ke aadesh ki pahchan nahi he. unhe apne akhand ghar evam parbrahm parmatma ka bhi gyan nahi he.
sudh nahi nirakar ki, aur sudh nahi sun l
sudh na sarup kaal ki, na sudh bhai niranjan ll
arthat: ese logo ko nirakar ya shuny ki bhi sudhi nahi he. unhe iska bhi gyan nahi he ki kal ka svarup kya he aur niranjan kise kahte he?
nijnaam soi jaher hua, jaki sab duni raah dekhat l
mukti desi brahmand ko, aae brahm aatam sat ll
arthat: ab yah nijnaam (tartam mantra) prakat ho gaya he, jiski pratiksha sara sansaar kar raha tha isi nijnaam ko lekar paramdhamki brahmaatmaae prakat hui he. ab ve (tartam gyanke dvara) brahmand ke jeevo ko mukti degi.
No comments:
Post a Comment